19th July 2008
Aaj mera bhi dil Kuch likhne ki sochtaa hai,Aaj meraa bhi dil ejhaar karne ki kahtaa hai.
Khub padi meine logon ke dil ki baat, Ajj meraa bhi dil kahtaa kuch kahne ko yaar.
Jindagi kuch nahi bas ab ek yaadon kaa pitaara hai, Door hue haseen dino ko yaad karne kaa ek bahaana hai
Dil aaj bhi yaad kartaa hai wo Engg counsil kaa din, Man mein the bahut Josh aur kuch kar dikhaane ki Tamnna.
Phir Ek din shuru hua IET kaa safar, Room no. 215 ek endheri khothri yaa phir ek Shayan-Shaala.
Wo hamesha usme hi sote rah jaana aur classes bunk karnaa, Doston ki darwaje par dastak aur khane par catnteen le jaana.
Wo sukhi roti, par lagti etni pyaari, entjaar mein bhook ke mare jaan nikal jaati.
Wo 'Rathi' ko chadhaana aur Roti mangwaana, Wo canteen mein setting karke aur Nimboo mangwaana.
Lunch ke baad phir wahi lecture, dil bolta jaane bhi de yaar..kab tak sahegaa Professor ke atyachaar
Canteen mein waqt nikaltaa aur yuhun hi baj jaate paanch , aur jaane kahaan se sharer mein aa jaati jaan. Doston ki jamghat aur sports kaa plan, Kab waqt nikaljaata koi naa jaane yaar
Wo badminton tournament ke liye karnaa bade bade plan lekin 10 rupee fees dene mein nikalti jaan baar baar.
Wo Pari kaa fees bharnaa aur uske saath tournament join karnaa…letakte pitakte hamaara final mein pahuchnaa…wo juniors kaa support aur senior kaa dar lekin haamri jodi always number 1.
Wo college events karanaa aur esi bahaane ladkyon se raat bhar guft karnaa aur fielding jamaana , Wahin doston kaa beech mein aana aur game bigaadnaa.
Wo Hostel ki shraaratein aur College ke aish, Backbench par hote apne hamesha aish.
Practicals ke paas aate hi Gals ho jaati hamaari khaasam khaas, Unki Sheets ko Marte ham topo din raat.
Exam date postponed hone ki dua karte har saal, Lekin kambakhat hote time par har baar.
Wo internals bycott karnaa aur hostel se bhaag jaana, Wo guards kaa peecha karnaa aur hamaara kheto mein chup jaana…Ghar par PAPA ki daant aur Mummy kaa bachaana.
Wo Dhaabe ki katni chai aur aloo ke paraadhe mujhe aaj bhi yaad aate hain baar baar.
Wo Hostel ki shraaratein aur College ke aish.
Kaise nikal gaye wo Chaar saal, Haemin naa maalum aie mere yaar.
Par ab dil bahut miss kartaa wo chaar saal..Ab dil bahut miss kartaa wo chaar saal.